betiyo ka safer.....
beti ki mohbat ko kabhi aajmana nahi.
vo phool hai use kabhi rulana nahi.
baap ka to maan hoti hai beti.
jindgi hone ki phachan hoti hai beti.
uski aankhen kabhi nam na hone dena.
uski jindgi se khushiya kabhi kam na hone dena.
ungli pakadkar jisko chalaya tha tumne.
fir usko hi doli me bhaithana hai tumhe.
bhut chota sa safar hota hai beti ke sath.
bhut kam waqt ke liye hoti hai vo humare pass...
No comments:
Post a Comment